Monday, March 1, 2010

Kaisi ye holi?

akash bhara tha rango se,
gaalon par tha laga gulaal,
jazbat uthe mere mann mein,
aya mann mein ek sawaal,

ye rang to ud jaega,
par kya tu wo rang bhula paega,
jis rang ne ranga is dharti ko,
chhitka hai jo dhamako se,
bhaybheet kar diya hai sabko,
sang gunjti cheekh pukaro ne..

aj to mil rahe hai gale,
kal inhi ko kalam karne mein lag jaenge,
gujiya banegi bam,
aur samose hathgole ban jaenge,
pichakariyan hongi bandook,
goliyan dhaar si jaengi,
na dekhengi Ram ya Rahim,
bas dil cheer ke aengi..

khushiyan to milkar manate ho,
kyu dukh mein peeche jate ho,
mil jao sath hai dua yehi,
is holi ka manzar badle,
ane wala kal badle,
mann mein uthe to bas ek sawal,
kuch badla sa nazara hai is baar,
prem ka gulal hai mehek raha,
har insaan hai chehek raha,
har mazhab ranga hai rang mein,
Ram-Rahim ki toli hai sang mein,

bas dua hai yehi,
har taraf bhaichare ki boli ho,
na meri na teri,
apne desh ki aisi holi ho !!!

5 comments:

  1. Very deep thoughts bhai.. awesome again :D
    Ashu

    ReplyDelete
  2. thnx brother :) it ws jst random..bt enjoyed writing in hindi :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. bhau...aap to chhupe rustam nikle..!!

      Delete
  3. really gr8 thought dost.. gud keep it up.

    ReplyDelete
  4. i liked ur songs tooo.. very nice..

    ReplyDelete